Hazrat Khwajah Zia Ullah Kashmiri
Rahmatullah Alayh
Aap Hazrat Khwaja Bahauddin Rahmatullah Alayh ki aulaad mein se hain. Aap kasmiri tajir thay. Aap ka khaima aik aik laakh ka tha lekin jab talab e khuda ki raah mein Hazrat Khwaja Mohammad Zubair Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue to apna tamam asbaab raah e khuda mein luta diya aur kamaal o takmeel par faiz ho kar khilafat payi .
Aap Rahmatullah Alayh ke mureed honay ka sabab yeh howa kay aap ne aik raat khawab mein dekha kay janab Sawar e Kaayenaat Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam Hazrat Abu Baker Siddiq Razi Allah Tala Anhu ka dast mubarak pakar kar aik Masjid mein tashreef laaye jahan Hazrat Khwaja Mohammad Zubair Rahmatullah Alayh bhi mojood thay. Aap ne dekha kay Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam aur Hazrat Khwaja Muhammad Zubair Rahmatullah Alayh ki shakal o soorat aik ho gayi hai. Isi Isna mein Hazrat Abu Baker Siddiq Razi Allah Tala Anhu ne Khwaja Zia Allah Rahmatullah Alayh ko farmaya kay janab paighambar khuda Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ka hukum hai kay tum ja kar Hazrat Khwaja Muhammad Zubair Rahmatullah Alayh ka mureed bano kyunkay woh Qutub e Jahan aur Qayyum e zamaan hain. Aap dosray din Hazrat Khwaja Muhammad Zubair Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue aur Sharf e baet se musharraf hue .
Hazrat Khwaja Muhammad Zubair Rahmatullah Alayh aap rehmat Allah par be had meharban thay aur farmaya karte thay kay aap fakhr e Kashmir hain. Hazrat Khwaja Mohammad Ehsaan Rahmatullah Alayh Roza tul Qayyumia mein likhte hain kay Khwaja Zia Allah Rahmatullah Alayh nihayat Haleem o mutwaza tabiyat ke maalik thay isi wastay Hazrat Khwaja Muhammad Zubair Rahmatullah Alayh ne aap ko Ahsen Leen ka khitaab day rakha tha .
Hazrat Shah Ghulam Ali Rahmatullah Alayh farmatay thay kay jis ne nisbat mujddi mujassam nah dekhi ho woh Hazrat Khwaja Zia Ullah Rahmatullah Alayh ko dekhe farmatay thay kay Hazrat Khwaja Zia Ullah Rahmatullah Alayh aakhri shab giryaa o zaari karte aur logon ko zajer o tanbeh karkay be daar farmatay aur kehte kay haif hai tumahray haal par kay mohabbat ka dawa Karte ho aur tumhara yaar o mehboob bedaar aur tumhari taraf mutwajjah hai aur tum khaftah o ghaafil ho, tum dawa e mohabbat mein darogh go ho warna aashiqon ka haal to yeh hota hai kay :
مجنوں بہ خیالِ لیلی دردشت دردشت بجستجوئے لیلی می گشت
می گشت بدشت پرزبانش لیلی لیلی می گفت تاز بانش می گشت
Hazrat Khwaja Zia Ullah Rahmatullah Alayh farmatay hain kay fanaa fi al Rasool ka matlab yeh hai kay bande mein woh tamam khasiatein, adaten, lagan aur jazba Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki terhan ka peda ho jaye. Aur bande ka behtareen roop woh hai jab khuda bande ko apne mehboob Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ke rang o bo mein dhaal day .
Hazrat Khwaja Zia Ullah Rahmatullah Alayh farmatay hain kay kasrat se duroood shareef parhna qurb e Elhi ka zareya hai jis se tamam buraiyan nakiyon mein tabdeel ho jati hain. Hadees shareef mein aaya hai ke jo kasrat se duroood shareef parhta hai woh Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ke sab se nazdeek ho ga .